Pakistan: Kal, Aaj aur Kal…
by: Taha Siddiqui
dekh kar aaj yeh haal-e-zameen,
dil toh chaahta hai ke tujh se hojaa’oon judaa…
par khayaal yeh khatak’taa hai us lamhe,
kho’kar yeh sab kuch, haasil agar ho kuch na…
kal ke liye jo khwaab dekh rahaa hoon,
kiya neend se khud ko ab karloon baidaar…
abhee tak taa’biir dhoond rahee hain nazarein,
sach aur jhoot kee jang ka manzar hai har baar…
aaj aur kal mein buss farq itnaa hai,
jo aaj hai woh kal nahii, jo kal hoga woh aaj nahii…
kitaab-e-zindagii ko bhardiyaa na jaane kitne afsaano se,
jab maazi ke auraaq paltay to kuch milaa hee nahii…
Advertisement
